रमज़ान के आख़िरी जुमुअ़ह के मसाइल`68
*`رمضان کے آخری جمعہ کے مسائل`* *`रमज़ान के आख़िरी जुमुअ़ह के मसाइल`* *`Ramzaan Ke Aa'khirî Jumu'ah Ke Masãyil`* ▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬▬ Bahut Sãre Logon Ko Yah 'Ghalaṭ Fahmî Hai Ki *Ramzãnul Mubãrak Kã Aa'khirî Jumu'ah Ya'anî Jumu'atul Wadã'a* Ek Alag Nau'yiyyat Kã Jumu'ah Hai Jis Ke 'Khuṭbe Men *Al Wadã'wu Al Wadã'wu Yã Shahra Ramaḍãn* Parhnã Zaroorî Hai Agar imãm Ne Jumu'atul Wadã'a Ke 'Khuṭbah Men *Al Wadã'wu Al Wadã'wu Yã Shahra Ramaḍãn* Nahîn Parhã To Faqaṭ Us Ne Jumu'ah Parhã, Jumu'atul Wadã'a Nahîn Parhã, Pesh Hain is Se Muta'alliq Sarkãre A'alã Ḥazrat رضی الله عنہ Se Kiye Gaye Kuchh Suwãlãt Aur Un Ke Jawãbãt 'Ghaur Se Parhiye Agar Aap Ko Bhî 'Ghalaṭ Fahmî Ho To Door Keejiye. *`imãme Ahle Sunnat Farmãte Hain:`* Al-Wadã'a Ki Rãyij Hai Na Koyî Shara'yî Ḥukm Hai Na is Men Mana'ye Shara'yî, Hãn 'Ulamã is Kã iltizãm Na Karen, Kabhî Tark Bhî Karen Ki 'Awãm Wãjib Na Samajh...