AALA HAZRAT KI WASIYAT KE MERI QABAR KO KUSHADA RAKHNA

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 AALA HAZRAT KI WASIYAT KE MERI QABAR KO KUSHADA RAKHNA 🥀*



Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Fazil E Bareilvi(رحمة الله علیہ) Kis Shaan Ke Aashiq E Rasool Thy Ke Aap Ne Wisaal Shareef Se Pehle Dafan Ke Baare Me Ye Wasiyat Farmai Ke Meri Qabar Ko Itna Kushada Rakhna Ke Jab Mere Mushfiq O Meharban Nabi ﷺ Meri Qabar Me Tashreef Laye To Main Qabar Me Apne Pyare Aaqa E Kareem ﷺ Ki Tazeem O Adab Ke Liye Khada Ho Saku’n....

HAZRAAT:- Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Fazil E Bareilvi
(رحمة الله علیہ) Goya Duniya Walo Ko Ye Batana Chahte Hain Ke Jab Duniya Me Mehfil E Milaad Wagaira Me Hum Apne Aaqa ﷺ Ki Mohabbat O Tazeem Me Khade Hokar Salato Salam Padhte Hain To Jab Qabar Me Pyare Aaqa Mustafa Kareem ﷺ Tashreef Farma Honge To Main Kis Tarah Qabar Me Leta Rahunga Is Liye Meri Qabar Ko Is Qadar Gehri Aur Kushada Rakhna Ke Hum Waha’n Bhi Khade Hokar Padhe....⤵️

🌹Mustafa Jaane Rehmat Pe Lakho Salam...
💐Shamm E Bazme Hidayat Pe Lakho Salam...

🌹Hum Gharibo Ke Aaqa Pe Behad Durood...
💐Hum Faqeero Ki Sarwat Pe Lakho Salam...
(Durood Sharif)

*📚 [Anwaar Ul Bayan/Jild:-01/Page No:-393-394]*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
*👇 Scan Page 👇*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

एअ़्तिकाफ़ के फ़ज़ाइल65

ग़ैर आ़लिम तक़रीर करना चाहे तो? 51

मुसलमानो क़ुरआने मुक़द्दस पर 59