Gaus E Azam Ka Gaibana Madad Se Do Sardar Dakuo Ka Halaak Ho Jana

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Gaus E Azam Ka Gaibana Madad Se Do Sardar Dakuo Ka Halaak Ho Jana 🥀*



✏️ Shaikh Ab Umar Usman Sarifi Aur Shaikh Muhammad Abdul Haq Harimi Ne Bagdad Me Hizri 569 Me In Dono Ne Kaha Ke Hum Apne Shaikh Mohiyudeen Abdul Qadir Radiallahu Ta'la Anho Ke Samne Madrsa Me Itwar Ke Din 3 Safar Hizri 555 Me They Aap Khade Hue Aur Khadaye Pehane Hue Wuzu Karne Lage Aur Do Raqat Namaz Padi. Jab Do Raqat Pad Kar Salam Phera To Aap Boht Chilaye Aur Ek Khadao Pakad Kar Hawa Me Phenki To Wo Humari Nigaho Se Gayab Ho Gayi Phir Dubara Chilaye Aur Dusri Khada Phenki To Wo Bhi Humari Nigaho Se Gayab Ho Gayi Phir Aap Bethh Gaye Aur Kisi Me Yeh Juraat Na Hui Ke Aap Se Puchhe

✏️ Phir Tis Din Ke Bad Balaad Ajam Se Ek Qafila Aya. Usne Kaha Ke Humare Pass Shaikh Ki Nazar Hai Humne Aapse Izan Talab Kia Aapne Farmaya Ke Unse Le Lo. Tab Unhone Kaha Ke Hum Itwar Ke Din Safar Ko Safar Kar Rahe They Ke Itefaqan Humare Samne Arab Ka Qafila Nikla Unke Do Sardar They Unhone Humara Maal Lutna Shuru Kia.Aur Baz Ko Qatal Kia. Phir Wo Jungle Me Utar Kar Maal Taqsim Karne Lage Hum Jungle Ke Ek Kinare Utare Aur Humne Kaha Ke Kash Hum Shaikh Abdul Qadir Radiallahu Ta'la Anho Ko Us Waqt Yad Karte Aur Humne Unke Liye Kuch Maal Nazar Mana Ke Agar Hum Bache Rahe To Dege. Phir Hum Aapko Yad Hi Karne Lage They Ke Humne Do Esi Buland Awazein Suni Jis Se Tamaam Jungle Bhar Gaya Humne Unko Dekha Ke Khaufzada Hai. Humne Gumaan Kia Ke Un Par Aur Arab Aage Aage Hoge. Phir Unme Se Baz Humare Pass Aaye Aur Kahne Lage Ke Aao Apna Maal Le Lo Aur Dekho Ke Hum Par Kya Afat Aai Hai. Phir Wo Hum Ko Apne Sardaro Ke Pass Laye Aur Humne Unko Murda Paya. Aur Har Ek Ke Pass Ek Ek Khao Padi Hai Jo Ke Paani Se Tar Hai. Tab Unhone Humara Sara Maal Lauta Dia Aur Kahne Lage Ke Yeh Koi Bada Waqiah Hai

*📚 Bahjtul Asraar Safah 229*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
*👇 Scan Page 👇*


टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

एअ़्तिकाफ़ के फ़ज़ाइल65

ग़ैर आ़लिम तक़रीर करना चाहे तो? 51

मुसलमानो क़ुरआने मुक़द्दस पर 59