Gaus E Azam Ka Zikr Taazim Se Karna ‎رضی الله عنہ ‏

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Gaus e Azam Ka Zikr Taazim Se Karna رضی الله عنہ 🥀*



✏️Shaikh Aarif Abu Muhammad Bin Ali Bin Abibakar Bin Muhammad Bin Abdullah Bin Idris Yaqubi Ne Bagdaad Me Hizri 610 Me Kaha Ke Maine Apne Shaikh Ali Bin Al Haitmi Radiallahu Ta'la Anho Se Zad Wiraan Me Hizri 560 Me Suna Wo Kahte They Ke Main Bagdaad Me Ek Dafa Shaikh Abdul Qadir Ki Ziyarat Ke Liye Hazir Huwa

✏️Tab Maine Unko Madrsa Ki Chhat Par Paya Ke Zahya Ki Namaz Pad Rahe Hai Phir Jo Maine Maidan Ki Taraf Dekha To Usme Rijaal Ul Gaib Ki Chalis Safein Khadi Dekhi Ke Har Ek Saf Me Satar Mard They Maine Unse Kaha Ke Tum Bethh Kyon Nahi Jaate

✏️ Unhone Kaha Jab Qutub Namaz Se Farig Hoge Aur Humko Bethhane Ka Hukm Karege Tab Hum Bethh Jayege.
Kyon Ke Unke Hath Humare Uper Hai Aur Uska Qadam Humari Gardano Par Hai. Uska Hukm Hum Sab Par Hai Phir Jab Shaikh Ne Salam Phera To Sab Ke Sab Jaldi Se Unki Khidmat Me Salam Kahte Hue Hazir Hue. Aur Unke Hath Ko Chumate They Shaikh Ali Bin Al Haitmi Kahte Hai Ke Jab Shaikh Abdul Qadir Ko Dekhte They. To Hum Sab Bhalai Dekhte The

*📚 Bahjtul Asraar Safah 61*






👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

एअ़्तिकाफ़ के फ़ज़ाइल65

ग़ैर आ़लिम तक़रीर करना चाहे तो? 51

मुसलमानो क़ुरआने मुक़द्दस पर 59