Husn E Khalq

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Husn E Khalq 🥀*



✏️ Husn E Khalq Har Shakhs Ka Wo Mamla Hai Jo Usko Manus Banaye Na Wahshi. Phir Ulma Ke Sath To Is Tarah Ke Unki Batein Kaan Laga Kar Aur Mohtaaz Ban Kar Sune.
Aarifein Ke Sath Batawajah Ahl Marifat Ke Sath Sukun Wa Intzaar Se Ahl Muqamat Ke Sath Tauheed Wa Inksaar Se Paish Aaye.

Jis Shakhs Ne Ilm Peer Me Bagair Uski Tahqeek Ke Bayan Karne Ke Kalaam Hi Par Kifaayat Ki To Wo Munqtah Huwa.

✏️Jis Shakhs Ne Ibaadat Par Bagair Fiqah Ke Kifayat Ki To Wo Nikal Gaya Aur Jisne Fiqah Par Bagair Parezgaari Ke Kifaayat Ki Wo Dhoka Me Pada.

Jo Shakhs Apne Wajabi Ahkaam Ko Baja Lata Rahe To Wo Najaat Payega.
Unka Kalaam Bari Ta'la Ki Tauheed Me Yeh Hai.

Uski Mahiyat Kahne Me Nahi Aati Uski Kaifiyat Dil Me Nahi Guzarati Wo Imshaal Wa Ishkaal Se Buland Hai. Uski Sifaat Uski Zaat Ki Tarah Qadim Hai.
Wo Apni Sifaat Me Jism Nahi.
Wo Is Se Bartar Hai Ke Usko Uski Makhluqaat Se Tashbiyah Di Jaye Ya Usko Uski Naupida Chizo Ki Taraf Nisbat Kia Jaye. Uski Mishl Koi Nahi. Wo Samih Basir Hai.

✏️ Uski Zamin Aur Uske Asmano Me Uska Na Koi Hum Naam Hai. Na Uske Hukm Wa Irada Me Koi Uska Humsar Hai. Aqlo Par Yeh Baat Haram Hai Ke ALLAH Ta'la KO Kisi Ka Mishl Banaya Jaye.

Aur Wahmo Par Usko Mehdud Kar Dena Zano Par Uska Qatah Kar Dena. Dilo Par Uski Dur Andeshi Nafus Par Uski Tafkir Fikr Par Uska Ahata Aqlo Par Uska Taswur Bagair Uske Ke Usne Apni Kitaab Aziz Ya Apne Nabi ﷺ Ki Zubaan Ki Taarif Ki Hai Haram Hai.

Humare Is Tariqa Par Chalne Wale Ke Liye Yeh Baat Wajeeb Hai Ke Wo Jhoote Dawo Ko Tark Kar De.

*📚 Bahjtul Asraar Urdu Safah 517*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
*👇 Scan Page 👇*


टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

एअ़्तिकाफ़ के फ़ज़ाइल65

ग़ैर आ़लिम तक़रीर करना चाहे तो? 51

मुसलमानो क़ुरआने मुक़द्दस पर 59