Qaasim Naanotvi Deobandi Molvi Marne Ke Ba'ad Bhi Apne Jism Ke Saath Logo Ki Madad Karta Tha

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Qaasim Naanotvi Deobandi Molvi Marne Ke Ba'ad Bhi Apne Jism Ke Saath Logo Ki Madad Karta Tha 🥀*



✏️ Deobandi Tabligi Firke Waalo Ka Aqeeda Hai Ke Rasoolullah ﷺ Mar Kar Mitti Me'n Milgaye Aur Rasoolullah ﷺ Kahi Aa Jaa Nahi Sakte Aur Na Hi Kisi Ki Madad Kar Sakte Hai'n.

Lekin Yeh Deobandi Tabligi Jo Baat Rasoolullah ﷺ Keliye Nahi Maante Woh Baat Apne Molvio Keliye Maante Hai'n, Isliye Hum Inko Gustakh Wa Gumraah Kehte Hai'n.

Ashraf Ali Thaanvi Deobandi Apni Kitaab Me'n Likhta Hai Ke "Namaaz e Fajar Maulaana Rafiuddin Saahab Ne Maulaana Mehmood Hasan Saahab Ko Apne Hujre Me'n Bulaaya Jo Daarul Uloom Deoband Me'n Tha, Maulaana Haazir Huwe Aur Hujre Ke Kawaad Khol Kar Andar Daakhil Huwe, Mausam Sakht Sardi Ka Tha, Maulaana Rafiuddin Saahab Ne Farmaaya Ke Pehle Yeh Mera Ruyi Ka Libaada Dekhlo, Maulaana Ne Libaada Dekha To Tar Tha Aur Khoob Bheeg Raha Tha, Farmaaya Ke Waaqeya Yeh Hai Ke Abhi Abhi Maulaana Naanotvi Saahab Jasad e Ansuri (Jism Ke Saath) Tashreef Laaye The Jisse Ma'in Ekdum Paseena Paseena Hogaya Aur Mera Libaada Tar Ba Tar Hogaya Aur Yeh Farmaaya Ke Mehmood Hasan Ko Kehdo Ke Woh Uss Jhagde Me'n Na Pade Puss Mai'ne Yeh Kehne Keliye Bulaaya Hai, Maulaana Mehmood Hasan Saahab Ne Arz Kiya Ke Hazrat Ma'in Aapke Haath Par Tauba Karta Hoo'n Ke Mai'n Iske Ba'ad Iss Qisse Me'n Kuchh Na Bolu'nga".

*📚 Hikaayaat e Auliya Ya'ni Arwaah e Salaasa, Safha No.193*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
*👇 Scan Page 👇* 



टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

एअ़्तिकाफ़ के फ़ज़ाइल65

ग़ैर आ़लिम तक़रीर करना चाहे तो? 51

मुसलमानो क़ुरआने मुक़द्दस पर 59